Thursday, November 25, 2010

Poem No 09

Koi Asool-o-Aadaab Zaroori Nahin
Ishq-e-Haqeeqi Mein Shabab Zaroori Nahin

Abbad Se Haath Mein Likhi Hain Sazaye'n
Jurm Ka Irtikaab Zaroori Nahin

Aankho'n Ki Haya Ke Qayal Hain Ham
Rukh Pe Dalo Naqab Zaroori Nahin

Aankhon Se Chhalak Jata Hai Khaloos
Koi Ji Or Janab Zaroori Nahin

Be Kafan Laash Par Bhi Likh Sakta Hai
Shayer Ke Liye Mahtaab Zaroori Nahin

Haath Mein Izhar-e-Mohabbat Ke Liye
Riwayeti Harba-e-Gulaab Zaroori Nahin

Toofano'n Ka Basera Bhi Ho Sakta Hai
Band Palkon Mein Khowab Zaroori Nahin

Zameer Ka Zinda Hona Kafi Hai
Roshni Ke Liye Aaftab Zaroori Nahin

Bosida Diary Mein Rakh Lo
Ho Shayeri Ki  Kitab Zaroori Nahin

Ronay Ke Or Bhi Kayi Tariqay Hain Amjad
Sajao Gaalo'n Pe Aab Zaroori Nahin.

No comments:

Post a Comment