Tuesday, October 26, 2010

Poem No 06

Youn Dard Ko Apnay Dawa Detay Hain
Tohfatan Zakhm Ko Ik Zakhm Naya Detay Hain

Shidat Se Ajayen Kabhi Yaad Jo Yaden
Tere Naam Ke Do Ashk Baha Detey Hain

Bohat Narm Banai Hai Fitrat Ne Tabiat
Koi Sang Outhaye To Doa Detay Hain

Mere Dar Pe Ajaye Koi Dard Ka Mara
Qisa-e-Dard Sunatay Hain Hansa Detay Hain

Kitnay Nadan Hain Log Pholon Ke Liye
pnay Gulshan Mein Kanto'n Ko Jaga Detay Hain

Hosh-o-Hawaas-o-Khwab Talak De Diye Ham Ne
Mohabbat Mein Bhala Or Kia Detay Hain

Ham Hain Ke Rkhtay Hain Lafzon Ki Aabroo
Woh Hain Ke Har Baat Bhula Detay Hain

Chalo Amjad Kisi Sehra Ki Taraf Chal Niklen
Aablay Paon Ke Kanto'n Ko SadaDetay Hain

No comments:

Post a Comment